Wasi Shah Poetry

Wasi Shah
1976-
Poetries : 174


Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah ShayariWasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho andMujhe Sandal Kardo.

Aik din aye ga woh shakss hamara hoga..

Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga,
Aik din aye ga woh shakss hamara hoga,
Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi,
Woh kisi aur hi duniya ka kinaara hoga,
Zindagi! ab mera naam na shamil karna,
Gar yeh tehh hai yehi khail dobaraa hoga,
Jis ke hone se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga,
Yeh achaanak jo ujaala sa hua jata hai,
Dil ne chupke se tera naam pukara hoga,
Ishq karna hai to din raat usey sochna hai,
Aur kuch zehen main aaya to hasaara hoga,
Yeh jo paani main chala aaya sunehri sa gharoor,
Uss ne daryaa main kahin paaon utaara hoga,
Kon rota hai yahan hijar ke sanaatton main,
Mere jesa hi koi hijar ka maara hoga,
Mujh ko maloom hai joon hi main qadam rakhoon ga,
Zindagi tera koi aur kinaara hoga,
Jo meri rooh main badal se garajte hain Wasi,
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga,
Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko,
Mere maula ka Wasi jab ishaara hoga..

Befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..

Kisi ki aankh se sapne churaa kar kuch nahin milta,
Munddairon se chiraghon ko bhuja kar kuch nahin milta,
Sakoon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi,
Jinhe apne watan se dil laga kar kuch nahin milta,
Usey kehna ke palkon pe na taanke khawb ki jhaalar,
Samandar ke kinaare ghar bana kar kuch nahin milta,
Na jaane kon se jazbe ki yoon taskeen karta hoon,
Bazaahar to tumhare khat jalaa kar kuch nahin milta,
Usey main pyaar karta hoon to mujh ko chain ata hai,
Woh kehta hai usey mujh ko sataa kar kuch nahin milta,
Mujhe aksar sitaaron se yehi awaaz ati hai,
Kisi ke hijar main neendain ganwaa kar kuch nahin milta,
Jigar ho jaaye ga chhalni, yeh aankhain khoon royen gi,
Wasi, befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey..

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..

Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai..

Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai,
Apni bahon me bharien mar hi dalien tum ko..

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum..

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..

Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi
Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?
Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi
Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi
Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi
Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi
Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi
Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi
Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se..

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se,
Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye,
Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se,
Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se,
Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se,
Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya,
Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se,
Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se..
(jarr’en;root, mehwar;focus)

Abhi kuch bhi nahin badla..

Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…

Apna to chahton mein yehi ik asool hai..

Apna to chahton mein yehi ik asool hai,
Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai,
Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye,
Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai,
Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de,
Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai,
Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain,
Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai,
Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri,
Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai,
Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi,
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham..

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,
Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai,
Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha..

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun..

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun,
Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun,
Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga,
aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na chun,
Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein,
Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun,
Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta,
Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun,
Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin,
Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun,
Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain,
Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun,
Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein,
Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun,
Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey rehna,
Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun..

Sari raat ki jaagi aankhein..

Sari raat ki jaagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi,
Yunhi khoye, dil hi dil mein,
Jaanay kiya kiya karti hon gi,
Sari raat ki jaagi aankhen,
Koi bolay, kaan na dharna,
Koi hillay to ek dam darna,
Koi daikhe in ka barhna,
Apne aap say larti hon gi,
Sari raat ki jagi aankhein,
Apni kitaabein phartey rehna,
Us ki baaten kartey rehna,
Us ki yaadein ghartey rehna,
Jeetay jeetay marti hon gi,
Sari raat ki jagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi..

Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo.

Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,
Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,
Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo..


No comments: